Thursday, 8 November 2012

Tu Aaina Hai Mujhko Tera Khayal Rakhna Hai

Tu Aaina Hai Mujhko Tera Khayal Rakhna Hai

Kahin Tu Toot Na Jaiy Tujhay Sambhal Rakhna Hai

Harr Ek Masley Ka Teray Hal Nikaal Rakhna Hai

Zahanat Se Apni Tujhay Hairat Main Daal Rakhna Hai

Gar Jo Kabhi Tu Tark-e-Talluq Ki Baat Karay

Rok Kar Tujhay Kal Taal Rakhna Hai

Teray Dard Ko Chun Lena Hai Palkon Se Apni

Teray Waastey Khud Ko Nidhaal Rakhna Hai

Nahi Doobnay Dena Tujhay Dukh Ke Darya Main

Teray Wajood Ki Naaow Ko Uchaal Rakhna Hai

Balaaon Ko Teri Duaaon Se Rook Loon Apni

Teray Chaar Soo Apnay Hathon Ki Dhaal Rakhna Hai

Sunaoon Aisi Dhunn Kay Na Ho Tujhko Kabhi Talab

Apni Hansi Mein Woh Munfarid Kamaal Rakhna Hai

Na Ho Jaye Kabhi Tujhko Meray Ro Baru Nadamat

Teray Samnay Hamesha Aasan Sawal Rakhna Hai

Bichar Ke Mujhse Na Jaye Tu Dunya Ki Thokaron Main

Tujhko Apnay Paas Rakh Kar Lazawaal Rakhna Hai

Kho Na Jaye Tu Zindagi Ke Andhairon Main Kahin

Teray Waastay Ujaaloon Ko Ghulam Rakhna Hai

Raha Muntazir Uska Tu Dhoop Main Ahl-e-WAFA

Woh Jab Lautay Tou Chaoon Ko Nikaal Rakhna Ha

Tu Aaina Hai Mujhko Tera Khayal Rakhna Hai

Kahin Tu Toot Na Jaiy Tujhay Sambhal Rakhna Hai

No comments:

Post a Comment