Friday, 9 November 2012

Kash main tere haseen haath ka kangan hota

Kash main tere haseen haath ka kangan hota

tu bare pyar se bare chaao se bare armaan ke saath

apani naazuk si kalayee mein charhati mujh ko

aur betaabi se furqat ke KhizaaN lamhon mein

tu kisi soch mein Doobi jo ghumatii mujh ko

main tere haath ki Khushbu se mahak saa jata

jab kabhi mooD mein aa kar mujhe chuma karti

tere honTon ki shiddat se main dahak saa jata

raat ko jab bhi tu neendon ke safar par jati

marmari haath kaa ik takiya banaya karti

main tere kaan se lag kar kai baaten karta

teri zulfon ko tere gaal ko chumaa karta

jab bhi tu band qabaa kholne lagati jaanaaN

apani aankhon ko tere husn se kheraa karta

mujh ko betaab saa rakhta teri chaahat kaa nashaa

main teri rooh ke gulshan mein mahakata rahta

main tere jism ke aangan mein khanakata rahta

kuchh nahi to yahi benaam saa bandhan hota

kash main tere haseen haath ka kangan hota...

No comments:

Post a Comment